Lehren

Bheege pair, thandi ret
Suhani si meethi si hawa
Gudgudati, phir dheeme se kuch fusfusa ke
Yu door bhaag jaati

Aur hum khade hai
Sagar kinaare
Ghaneri raat ki chaadar odhe
Sehme hue se, zindagi ki
Anginat shaitaniyon se achambhit

Naa samajh pa rahe ki aakhir
Kyun khushiyon ka naqaab daale
Dhokhe pe dhokha deti is zindagi
Ko sabr se sehte rahe hum

Lehre kinare se takrati, phir ek doosre se takraati
Unki takraar mein aaine ki tarah
Humein dikhta hai humara aaj
Humara beeta kal aur aane wala bhi

Is takraar se, is dhokhe se
Bas munh pherne hi waale hain hum
Ki nazarein milti hai
Lehron ke pare sthir sagar se

Phir yaad dilati hai zindagi
Ki kyun aksar sagar kinaare bulati hai humein
Hanskar kehti hai,

“Lehron ki seema hai, pagli
Shaant samundar to anant hai”

Phir yaad dilati hai zindagi
Ki kyun aksar sagar kinaare bulati hai humein.

The former DEIC of MTTN and one of the most friendly people in and around Manipal, Archana Rampuria describes eloquently her experiences of being far from the madding crowd in the seaside. She paints a picture of the life stories associated with waves as they kiss the moist sand.

Leave a Reply

Proudly powered by WordPress | Theme: Baskerville 2 by Anders Noren.

Up ↑